Wednesday, October 22, 2014

Best Hindi Shayari on Life

Dhoop mein niklo ghatao mein naha kar dekho,
Zindagi kya hai kitabo ko hata kar dekho,

Woh sitara hai chamak ney do yunhi ankhon mein,
Kya zaroori hai ise jism bana kar dekho,

Patharoo mein bhi zaban hoti hai dil hote hain,
Apne ghar ki dar-o-divar saja kar dekho,

Fasla nazro ka dhooka bhi to ho sakta hai,
Woh miley ya na miley hath barha kar to dekho…

No comments:

Post a Comment